Sher-O-Shayari by Chirag Gupta

Sher-O-Shayari  by Chirag Gupta
Teri subah ki meethi angdayi,
Sunehri raat mein teri parchayi,
Na jaane kyu bhula na paoon,
Muskuraahat jo mere dil mein thi aayi.


Hothon pe khushi ka har pal rehna,
Paani ki tarah har pal behna,
Na jaane kyu bhula na paoon,
Ankhon se hi suron ka khelna.

Hazratein jo kiya karte the,
Mastiyaan jo seeya karte the,
Na jaane kyu bhula na paoon,
Bin bole hi jo kaha karte the.

Baahon mein do jaan simat jaana,

Kuch sochke mann mein hi muskurana,

Na jaane kyu bhula na paoon,

Un lamhon ka yu hi guzar jaana.

1 comment:

  1. Very difficult to understand but the stanza might be having your emotional pen while writing !

    ReplyDelete

DMCA.com Copyrighted Registered & Protected 
CGJO-ZVMH-MW3G-RISO