Showing posts with label hinglish. Show all posts

वो नई दोस्ती!

Wo Nayi Dosti Prateek Saraf
रोते हुए इंसान को मुस्कान दे गयी...
मरने से बचा के जीवन दान दे गयी...
खिल खिल रही है मेरे चेहरे पे जो हँसी आज कल...
इस मुस्कराहट को वो नई दोस्त पहचान दे गयी...!

मिले नहीं अभी तक हम जिनसे...
जानती नहीं वो बात कर रही है किनसे...
फिर भी गर भरोसा है इतना उनको...
तोड़ेंगे  नहीं कह देना उनको...!

उस  दिन ना जाने हमें भी क्या हो गया था...
वो थी दुखी और हममे भी एक कवी आ गया था...
कभी ना कह पाए और ना ही समझाया हमने कभी...
उसने कुछ कहा, हमने निकाल दी मान कि बात सभी...!



Rote hue insaan ko muskaan de gai....
Marne se bacha k jeevan daan de gai...
Khil khila rahi h mere chehre pe jo hasi aaj kal...
Is muskurahat ko wo nayi dost pehchaan de gai..!

Mile nahi abhi tak hum ginse...
Janti nhi wo baat kar rhi hai kinse...
Fir bhi gar bharosa hai itna ginko...
Todenge nahi kabhi keh dena unko...!

Us din na jaane hume bhi ho kya gaya tha...
Wo thi dukhi aur hm me bhi kavi aa gaya tha...
Kabhi naa keh paaye or naa ksi ko smjhaya humne kabhi...
Usne kuch kaha hmne nikal di man ki baat sabhi...!



~Prateek Saraf

Risk




Kho jau mai kahi agar,
Aur ho jau duniya se bekhabar,
Samajh lena dosto ho gaya hai mujhko Ishq,
Aur le liya hai maine bahut bada Risk,
Yu to "Life" hai har pal Risk magar,
Soche-samjhe Risk ka alag hi hai asar,
Life me Risk-factor bahut kaam aati hai,
Safalta ki kunji bankar aapko...
Door talak le jaati hai
Door talak le jaati hai...

~Raj

Mera Dil ( My Heart )


Mera Dil ( My Heart )


Bada natkhat hai ye dil na jaane kya kya sochta rehta hai,
kabhi bada khush toh kabhi zara sa dukhi rehta hai..

Karvata hai mujhse ye na jaane kaise kaise karnaame,
jinka uddeshya ham bhi na jaane aur tum bhi naa jaane..

Kabhi toh pyar bhare ek hi shabd se harshit ho jaata hai,
toh kabhi shabdon ki uljhan mein hi ulaj kar hatash ho jata hai..

Khush hota hai jab ye toh har baat mein haasya khoj leta hai,
par jab hota hai ye dukhi toh uss haasya mein bhi apna dard khoj leta hai...

Kabhi toh deewano ki tarah kisi khaas ko chahne lagta hai,
samay ke saath vahi khaas iss dil ko bhane fir lagta hai..

Na jaane kitni yaadein sanjoye rehta hai ye apne andar,
jaise andar bhara hua ho pyaar ka samundar...

Zindagi ki iss kashmakash mein bass iss baat ka khayal rakhna,
chori na ho jaye kahi issey zara sambhal kar rakhna..


~Ankit

Chahat Ka Falsafa


Chahat Ka Falsafa- Ankit
Apni chahat ka falsafa unhe sunayen bhi toh kaise,
ab toh itna dur hai wo hamse pass jaye bhi toh kaise..

Meri dil mein unki jagah koi aur lega bhi toh kaise,
ye dil toh nadaan hai kisi aur ko pyaar dega bhi toh kaise..

Unke praharon se aahat hokar ab dukhde sunayen bhi toh kaise,
khabhi khush bhi ho jayen jo toh gungunayen bhi kaise..

Dono pahiyon ke bina ye jeevan rupi rath bolo chal payega kaise,
itna kaccha bhi nahi tha hamara rishta bolo tut payega kaise..

Mein toh tera hi saaya hun mujhse dur jaoge kaise,
tere dil ke kisi kone mein toh mein zarur hun;mujhe bhul paoge kaise..

Apni chahat ka falsafa unhe sunayen bhi toh kaise,
ab toh itna dur hai wo hamse pass jaye bhi toh kaise..

~Ankit

Samandar ho gaya hun...

Samandar Ho Gaya hun....Now i am sea
Tu door bhi nahi aur paas bhi nahi,
Mujhse juda hone ka tujhe ahsaas bhi nahi,
Pyar tab bhi tha pyar ab bhi hai,
Intzaar kal bhi tha intzaar aaj bhi hai,
Fark kewal itna hai...
Kal tere aane ka tha aaj tere jaane ka hai,
Tu aur teri yaad ko dil se mitaane ka hai,
Din badal gaye shamaa badal gayi,
'Par' jo maine nikaale aasman badal gayi,
Daman tera chhod kar khud ke andar jo gaya hu,
kuyein se nikal kar samandar ho gaya hu,
kuyein se nikal kar samandar ho gaya hu...

~Raj

Dil...

Dil (Heart)


Dil mera gamgeen hai,
Man mera namkeen hai,
Pyar mera rangeen hai,
Bahut hi wo haseen hai.


~Raj

Dil aur doosti...


Dil Aur Dosti, (Heart & Friendship), Broken Glass

Dil aur doosti bas ek kaanch si hai,

Agar tut jaye toh kabhi judti nahi,

Agar wapas chaho toh bhi,

Saath milti nahi, 

Bas yu hi bata raha hu ab tumhe,

Kisi ka dil thod kar phir rona nahi.......:-D:-D

~Shyam K C

Kya ham sach me swatantra hai??


Is our nation truely independent~ A Poem
Mein ab tum logo ko,
Uss duniya ki oor le chala;
Nawab aur rajao ka hi,
Marzi se jaha raj chala.........................

Ek hukum hi kafi tha, jab,
Kai sirr katkar gir jaate the,
Sirr utane ka b himmat, tab,
Bas sochte hi ham raha jaate the......................

Unki pidi toh khatam ho gayi,
Phir b aaj ham peedit hai,
netao ka veesh pehankar,
shayad, ab b ye jeevit hai..............................

Logo ka pratiniditva kehekar,
Apna shasan chalate hai,
beyimaani, beroozgari ko hi apna,
haatiyaar banakar chalte hai..........................

noto se har kaam ye chalate,
kya ham itne tuchh prani hai?
kaam aane par, muhh jo modte,
unn rajao se b haavi hai................................

Ek prashn ut tha hai mujme,
kya ye peedi, avyaay hi reha jaayegi,
kartavya samajkar, ham me se ek aaye toh,
sabki zindagi badal jayegi......................


~Shyam K C 

Sache doost!!!


Sacche Dost~ True Friends

Bas aapki baatein khush kar deti hai hame,
Naa jaane kitne hi jhut ho usme,
Sunne me toh lakh milte hain,
Par ache doost se taarif kam hi milte hain.

~ Shyam KC

Kisi ko apna samaj kar....


Kisi ko apna samaj kar....

Kisi ko apna samaj kar,
Jab har raah me saat diya hoga,
Unn parindo ko saat udte dek kar,
Kabhi sher ko b mahasus hua hoga........

Bhadhaye jab samne dekh kar,
Saathiyo ne apna muh moda hoga,
Tab sher ne b un parindo ko dek,
Soch kar phir hasa hoga......

Aisi logo ki kya zarurat,
Mushkil me saat dete nahi,
Bhed bakariyo jaisa jhund,
Bankar bas reh jaate hai sahi.......

Apna sa bankar ye,
sab ko yakeen dilate hai,
Phir bas kabhi unko, ham,
yaad hi nahi aate hai.......

Saat nibane ki baat kehekar,
Yakeen jab meine kiya,
Tabi me un bhed bakriyo ke,
Jhund mein me shamil hua:-D


~Shyam K C
DMCA.com Copyrighted Registered & Protected 
CGJO-ZVMH-MW3G-RISO