Chahat Ka Falsafa


Chahat Ka Falsafa- Ankit
Apni chahat ka falsafa unhe sunayen bhi toh kaise,
ab toh itna dur hai wo hamse pass jaye bhi toh kaise..

Meri dil mein unki jagah koi aur lega bhi toh kaise,
ye dil toh nadaan hai kisi aur ko pyaar dega bhi toh kaise..

Unke praharon se aahat hokar ab dukhde sunayen bhi toh kaise,
khabhi khush bhi ho jayen jo toh gungunayen bhi kaise..

Dono pahiyon ke bina ye jeevan rupi rath bolo chal payega kaise,
itna kaccha bhi nahi tha hamara rishta bolo tut payega kaise..

Mein toh tera hi saaya hun mujhse dur jaoge kaise,
tere dil ke kisi kone mein toh mein zarur hun;mujhe bhul paoge kaise..

Apni chahat ka falsafa unhe sunayen bhi toh kaise,
ab toh itna dur hai wo hamse pass jaye bhi toh kaise..

~Ankit

0 comments:

DMCA.com Copyrighted Registered & Protected 
CGJO-ZVMH-MW3G-RISO