Uss duniya ki oor le chala;
Nawab aur rajao ka hi,
Marzi se jaha raj chala.........................
Ek hukum hi kafi tha, jab,
Kai sirr katkar gir jaate the,
Sirr utane ka b himmat, tab,
Bas sochte hi ham raha jaate the......................
Unki pidi toh khatam ho gayi,
Phir b aaj ham peedit hai,
netao ka veesh pehankar,
shayad, ab b ye jeevit hai...........................
Logo ka pratiniditva kehekar,
Apna shasan chalate hai,
beyimaani, beroozgari ko hi apna,
haatiyaar banakar chalte hai..........................
noto se har kaam ye chalate,
kya ham itne tuchh prani hai?
kaam aane par, muhh jo modte,
unn rajao se b haavi hai...........................
Ek prashn ut tha hai mujme,
kya ye peedi, avyaay hi reha jaayegi,
kartavya samajkar, ham me se ek aaye toh,
sabki zindagi badal jayegi......................
~Shyam K C
0 comments: